darawani raat ki kali chudail....crobooks.blogspot.com
sub jaante hai us waqt shaktiman raat ko 10:30 se 11:30 pm tak aata tha . .shaktiman khatam hone pe hum ghar aane lage to jinke ghar pe the unhone raat ko rukne k liye kaha . .me sharmila tha . .i was just 14/15 years old that tym . .esliye kuch bol nai paya bt dusre k ghar me rehena pasand nai tha to peesab ka bahan kar k me or mera dost . .waha se nikal liye . .lekin es sub me 12:30 se upar ka waqt ho gaya . .chandani roshni thi . .khet khali the fasal nai lagayi thi . .me aage or mera dost piche gaana gungunate hashte huwe khet ki mehd pe chal rahe the . . .dur tak chandni roshani me koi nazar nai aa raha tha . .tabi mujhe gurane ki awaz aayi . .grrr mujhe laga mera dost mujhe darane k liye awaz nikal raha hai or mene hashte huwe kaha kya grr grr kar . . .aage k shbd halak me hi atak gaye . .mere se 4 5 kadam dur 7 ft k karib ek chiz khdi thi . .jiske badan pura kaale balu se bhara tha . .meri nazar to bus uski aankho pe tiki thi jo gol laal choti thi . . Tabhi mera dost chilaya [jo ki nidar tha i said it in my 1st post] pathar maar . .or jaise me neend se jaga or mene bijli k fhurti se khet ki taraf pade miti k tilo k taraf hath badaya or maarne k liye palta . .lekin . .ye kya . .waha to kuch nai . .chandni roshani me dur tak kuch nai tha . .mene apne dost se kaha ki kya usne vo dekha . .or vo bola . . .bhaag . .or jo hum bhaage sidha ghar pahuch k hi ruke . . Us din pata chala . .log q kehete hai ki bhai aise q bhag rahe ho jaise bhoot piche pada hai . . .lol . .kuch din k baad pata chala waha pe ek aurat ne tree se kud k suicide kiya tha 8 9 mahine pe
hele . .
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें